WhatsApp Account Delete Karne ki full information Hindi me
I
Kya aapko pata hai ki "Whatsapp Account Kaise Delete kare"(How to delete WhatsApp account Permanent in Hindi)
agar aapko nahi pata to chaliye aaj ham sikhne wale hai ki WhatsApp account ko Permanent kaise delete karte hai.
Har koi WhatsApp ka use karna pasand karta hai kyunki esse aap apne friends or relatives se jur sakte hai. Present ki baat kre to WhatsApp world ka sabse jiyada use karne wala massenger app ban chuka hai.
WhatsApp account delete karne ke bahut sare karan ho sakte hai aap kis wajah se apna account delete karna chahte ho ye aap pe hi depend karta hai agar aap whatsapp account delete kar dete ho to aapka sara data delete ho jata hai
Eske sath mai aapko yah bata dun ke user's ko banaye rakhne ke liye aye din update dete rahta hai jisse new feature milte hai jo user's ko attractive kar sake or user's bane rhe .
Whatsapp account delete karne se pahle mai aapko bata dun ke WhatsApp aapko 2 tarah ke option deta hai 1st aapko WhatsApp account delete karne ke liye or 2nd option aapko kisi dusre number me account transfer karne ke liye abb ye aap par depend karta hai ki app kya karte ho
To abb sikh lete hai ki WhatsApp account delete kiase karte hai.
WhatsApp account Permanent delete kare:-
Eske liye pahle aap apna WhatsApp account khole or eske andar hi aapko account delete karne ka option mil jayega jisse aap hamesha/Permanent account delete kar sakte ho eske liye aapko step by step instructions diye gye hai.
Step:- 1
aapko apna WhatsApp account delete karne ke liye WhatsApp ke Chat section me jana hoga yha aapko sabse upar right side me three dot ka icone bna hua dikhega usme aap click karna hai.
Step:- 2
abb apko ek pop up show karega jisme aapko bahut sare option milenge aapko setting par click karna hai.
Step:- 3
click karne ke baad aapko waha ek new page show krega jisme aapko Account wale option par click karna hai.
Step :-4
Eske baad aapko delete my account ka option show hoga uspe click kre .
Step:- 5
yaha aapko apna country select karna hai aur uske baad aap apna WhatsApp account ka number likhna hai.
Step:- 6
uske baad aapko karan pucha jayega aap kuch bhi select kar skte ho or agar aap whatsapp se kuch kahna chahte ho to wo bhi likh sakte ho.
Step:- 7
Fir aapko delete my account ka option show krega uspe click karne ke baad aapka account Permanent delete ho jayega.
WhatsApp account delete hone ke baad
1. aapne abb jo bhi chat kiye the wo sari delete ho jayenge.
2. aapne jitne bhi group ko joint kiya hoga wo sari group se aap delete ho jayenge.
3. agar aapne WhatsApp data ka backup apni Google drive me le ke rkha hai to wo bhi sari delete ho jayegi.
2. aapne jitne bhi group ko joint kiya hoga wo sari group se aap delete ho jayenge.
3. agar aapne WhatsApp data ka backup apni Google drive me le ke rkha hai to wo bhi sari delete ho jayegi.
To gyzz ess tarah se aap hamare bataye hue spteps ko follow karke apna WhatsApp account Permanent delete kar sakte ho koi issue ho aap comment karke hame bataye aur ess post ko apne friends or relatives kw sath bhi ess post ko share kre.
Thanks you 🙏🙏🙏
0 comments:
Post a Comment